2021
This blog will be different.. coz 'No Way Home' is not just a film.. Let's discuss this further.
8 mahine Baad I went to Cinema Hall (pichli baar Godzilla Vs Kong dekh k aaya tha).. Hype toh kaafi tha spiderman ka, m bhi bahut excited tha, for the film..already mko marvel bahut psnd h, upar se spiderman, woh bhi multiverse wala.. Loki dekhne k Baad se multiverse k liye kaafi excited tha, aur 'No Way Home' multiverse pe hi based h.
Sach kehra hu bro/behan, jo mahol tha naa Hall k andar, aisa mahol kabhi witness ni kia.. Kai movies dekhi h Hall m, Endgame infinity war sab.. Prr jitna crazy audience iss movie k Waqt hui thi, itna I've never seen before.. Seeti pe seeti, hootings, claps... Sab krri audience.. Woh bhi continously, harr 5 min m.
Movie yaar tagdi h, obviously.. 3D m dekh k toh aur hi maja aagya.. Sach m...
Movie ki direction, story telling sab OP.
VFX ka level toh dunia ko pta h, marvel m kitna tagda hota h..
Movie ka Background score bahut hi zyda gjb. Bg score m purani spiderman movie ka music sunn k maja aagya waastav m..
Cinematography epicπ₯π₯
Movie is full of surprises.. Starting se hi film m surprise hi surprise bhar rkhe h,Jo ki movie k khtm hone k Baad bhi ni rukte, post credits m bhi h..
'No Way Home' yaar Genie jesi h.. Iss film se aap jo maangoge, sab milega.. Kasam se.. Sab h film m.. SAB π«✨ Saari expectations poori hojaengi, koi kami ni chodi marvel-sony ne
tareef ni krni h yaar film ki, genuinely, aalas aara h yeh kehlo.. coz film m sab bhadiya tha, ek dam brilliant..
mirror world k scenes gajab thye, especially 3D m.. maja aaya
Aur purane Villians aur heroes ko dekh k yaar.. kasam se bro.. dil khush hogya.. tagda nostalgia tha..
We all grew up watching these characters, and now they return after so many years, magical feel hua dekh k inhe..
film entertaining bhi bahut h.. kaafi funny h, jokes ache h.. Ned k especially..
Film m emotions high h kaafi.. Phle ki spiderman films, ya marvel ki koi bhi movie itni deeply emotional ni hoti, jitni Yeh h..
Isme hame ek responsible Peter dikha..
Film ka pace kaafi sahi h.. Starting se hi maja aata h.. 2nd half thora chota feel hota h, pta bhi ni chlta movie finish hojaati h..
Ending fight yaar thori epic krr skte thye.. Ek hi khraab cheez lagi, marvel-Sony waalo ne villians ka use proper ni kia.. Itne Saare villians thye, Yeh chahte toh epic battle kra skte thye, Prr itna hua ni.. Prr koi naa.. Maja toh aaya hi..
Actors.. Cast toh h hi perfect, aur SAB, SAARE K SAARE ACTORS ne 1 no. kaam kiya h.. Role m koi kami ni chodi.. Bilkul gjb..
Especially Tom Holland and William Defaoe ne.
Jesa ki bataya m, tareef krne m zor aara h.. Coz yaar film tareef se bhari hui.. Toh zyda ni bolunga Ab, already kaafi hogya..
Aur bro/sis, bass yehi bolunga, ki yaar Spiderman :No Way Home aisi wesi film ni h.. Kaafi mehnat lagai h film me, aapko dikhegi bhi.. Sab tagda h, sab, entertainment toh 1000000% h.. Maja aayga dekho please.. Aur apne device m ni, hall m Jaa k.. Coz 'No Way Home' is not just a film, but a magical experience; which you'll never experience again in life..
So please witness it. (and DON'T SPOIL the film for those who haven't seen it yet).
Best Thing - FILM
IMDb 9
My Rating - 10 (very minor cheeze thi story m jo better ho skti thi, bahut minor)
Time - 148 minutes
Also friends, dhanyawaad ππ
10 din m 1 year hojaega blog page ko mere..
Kaafi support mila h aap sabka
45000 + views mile h ek saal m, I guess bahut respectable h, that too from a single source ; Telegram
Bass yehi h ki kripa banay rakhe, pdhte raha karo, kabhi kbhaar comment bhi krdia kro, zaroori ni tareef kro, aivyai kuch bhi, koi movie suggestion maanglo, ask for any movie review, kuch bhi.. Prr interact krloge toh bhadiya lagega, feel aaygi, hehe
Chalo kaafi time waste hogya tumhara, ab jaao, aur wapas aana..
Tab tak m aur movies dekhta hu, aur tumhare liye suggest krta hu
THANK YOUπ✨
Bhai yar ek Kami thi film me yar spider man ko ab koi nhi janta Avengers bhi bhul gaye phir phale bali movie ka kya matlb nikla bhai
ReplyDeleteIs ne yar sad kar diya movie gajb thi par spider man ko bhula diya I am so sad
ReplyDeleteSahi kehre ho, Prr dekho, log sirf Peter Parker ho bhule h, spiderman abhi bhi yaad h Avengers aur sab jano ko, bass Peter ko bhul gye.. Doosri baat, yaar Yeh Sony ne kia h, unko link hatana tha marvel se spiderman ka, jissey ki woh apne universe m use krr ske, memory erase krke link tut jaayega aur ab woh easily spiderman ko marvel se Sony m shift kr skte h.. Ek aur baat yaaar Ab spiderman mature hogya h, responsibility smjhra h apni, uske character development k lie usko sad ending deni pdi
Deletebhai aap ne kase dekhi spiderman no way home
ReplyDeleteCinema Hall m dekhi thi brother
ReplyDelete